Friday, May 8, 2009

Rab aur Sangeet

jab tum nahin hoti mere paas
sahara letha hoon mein kisi ka bhi
pehle aasooan(tears) ka phir madira(drinks) ka
lekin phir bhi lagtha hai ki
tum jaise aur koi bhi nahin
 
yeh shaayad meri galthi thi
tumhe pehchaan ne mein
kya tum wohi ho jis se maine pyaar kiya
ya phir tum ho koi aur
 
rab jaantha hai
mein kis mod se guzar raha hoon
is zindagi mein lekin
rab kahan hai,
mere paas tho nahin
 
ek hai jho mere liye rab hai - sangeet
haan yeh sangeet hi tho hai
jho muj jaise musafir ko
sahara dethi hai
 
sangeet jo rab jaise hi
yaadh aathi hai mushkil mein
Aye bewafa insaan -  naa kar tu aise
aur pehchaan apne ander ke sangeet ko
anpe rab ko
 
Aakir sangeet hi tho hai
jho teri meri saans(breath) hai
 

No comments: